Friday 6 October 2017

I Love You

Aaj hum chalte phirte, kisi se ek choti si mulaqaat mein chand minto ke baad ek doosre ko ‘’I love you’’ keh dete hain. Kya ye real mein ‘’Pyaar’’ hota hai ya phir ek waqti pyaar ka ubaal ? Haqeeqat mein ye pyaar nahi hota sirf ek waqti attraction hota hai, jise hum pyaar samajh baithte hain.
To phir pyaar kya hai? Pyaar ek aisa jazba hai jisko aasani se lafzon mein bayan nahi kiya ja sakta hai.

Aaiye koshish karte hain. Jab hum kisi se is tarha mohabbat karte hain ke uske badle mein hum us insaan se kisi tarah ki koi ummeed nahi rakhte hain, to usey pyaar kehte hain. Jab doosre ki khushi mein hamein khushi aur uske gham mein hamein behad ghum hota hai to isey pyaar kehte hain. Jab hamari zindagi ka maqsad sirf apne mehboob ko khush dekhna hota hai, chahe hamein uske liye kuch bhi karna pare, to is jazbe ko pyaar kehte hain. Jab hamein apne mehboob ke siwa koi doosra dikhai nahi deta hai, aur uski buri baat bhi achchi lagti hai to ise pyaar kehte hain.

No comments:

Post a Comment