Saturday 7 October 2017

Relationship-Love or Sex ?

English version of this article will be available soon.

Aaj hum is baat par ghaur karenge ke male female relationship ki modern definition kya hai? Jise hum pyaar ka naam dete hain, kya who haqeeqat mein pyaar hota hai ya phir waqti sexual attraction?
Relationship qayam hoti hai aur toot jati hai. Why do relationships end so soon? Kyoonke jab aap ka maqsad sirf enjoy karna hoga to rishte mein mazbooti kaise aayegi? Jab relationship ki buniyaad vaasna/lust par hogi to bhala relationship long term kaise hogi. Relationship aaj ek khel banker reh gayi hai. Hamare desh main social aur traditional values itni mazboot theen (aur chote cities mein kaafi had tak aaj bhi hain) ke ek martaba rishta qayam hone ke baad uske tootne ka koi matlab hi nahi thaa. Zindagi mein chahe kitni bhi pareshaaniyaan aati theen magar rishte nahi tootte they. Kyoon ke rishton ki buniyaad mohabbat, sachchai aur usoolon par hoti thee. Aaj zyadahtar male female short term rishte sirf sexual pleasure ke liye bante hain. Is tarha ka attraction waqti hota hai. Jab dil bhar jaata hai to relationship bhi khatm ho jaati hai. Doosre relationship jaldi break hone ki ek wajah ego bhi hai. Materialistic achievements/duniyavi taraqqi ne insaan ko khudgharz aur ghamandi bana diya hai. Hum har waqt apni ego ke nashe mein choor rehte hain. Har kaam apni marzi se chahte hain, doosre insaan ki badai aur tareef hamein bardasht nahi hoti hai. Lihaza kabhi bhi conflict barh jaata hai, aur nateeja break-up hota hai.
Pehle hum log bohot sabr wale they, apni social values ko mazbooti se pakre huey they. Ghamandi nahi they, hamare andar bohot aajzi/humility hua karti thee, doosre insaan ki izzat karna apna farz samajhte they aur kisi ka dil dukhana gunah ke darje mein aata thaa. Aaj hum apni kaamyabiyaan ginwate nahi thakte. Doosron ke jazbaat/feelings ki zyadah parvaah nahi karte hain. Yaani hum bohot zyadah showy ho gaye hain. Aur jaisa ke mein ne pehle bhi zikr kiya hai, ye sab materialism se aata hai.
Iski ek wajah western culture ka hamla bhi hai. Hum har cheez mein west ki naqal karte hain. Hamare yahan fashions west se aate hain. Uthne bethne aur baat karne ke tareeqe bhi west se aarahe hain. Mein aksar college ke ladke aur ladkiyon ko Hindustani zabaan bolte huey sunta hoon, khastaur se English medium schools ke bachche, to aisa lagta hai jaise American hindi bolne ki koshish kar rahe hain. Yaqeen keejiye kitni hi baaten to samajh bhi nahi aati hain. Ladke bare ajeeb ajeeb tarah ke hair-cut rakhte hain. Unhe dekhkar bohot der tak to samajh mein hi nahi aata ke ye ho kya raha hai? Hazrat adam ne kabhi socha bhi nahi hoga ke meri nasl ke kuch log aise bhi honge. Bohot ghaur se dekhne par lagta hai ke jaise kisi paid/tree ki jar ko cheel kar bilkul ganja kardiya gaya hai aur ab isse lakri ke statue banai jayenge. Doosra zehen mein ek khayal ye bhi aata hai ke America ne India ko contract diya hai ke aapko hamein Abraham Lincoln ki 156vi salgirah par 500 millions statues banakar dene hain.
Rozana TV Channels par aur Newspapers mein khabren dekhte aur parhte hain ke abhi do maheene pehle do mashhoor mard aur aurat ne shaadi ki, abhi hum us shaadi ka maza le hi rahe they ke unka break-up bhi ho gaya hai. Aur kuch din baad news milti hai ke unmein se koi ek apne ex ki kisi doosre se shaadi karwane mein busy hai, aur us marriage ke poore arrangement ki bhi zimmedari lee hai. Yehi culture hamare cosmopolitan cities mein bhi aaraha hai. Aisa celebs mein hi nahi hota balke aur logon ke beech bhi hota hai. Farq sirf itna hai ke celebs ki baat ekdam phail jaati hai. Aur jo log mashhoor nahi hote unka kisi ko pata nahi chalta hai.
To in sab baton par ghaur o fikr karne ke baad hum is nateeje par pauhnche hain ke aaj zyadahtar male female relationship aapsi razamandi se ek doosre ke saath us waqt tak rehne ka naam hai jab tak un dono ya un mein se kisi ek ki dilchaspi kisi doosre mard ya aurat ke saath naee shuruwaat karne karne ke liye nahi ho jaati hai. Ye ek qism ka entertainment hai. Aur is modern male female relationship mein ek stage aisi aati hai jab hum ek doosre ke liye baasi/stale ho jaate hain. Aur relationship se entertainment ka element ghayab ho jata hai. Aur phir bare pyaar se ya jhagra karke hum apne raaste alag karlete hain. Kuch waqt tak frustrated rehte hain, aur phir aage barh jaate hain. 
Written by

Syed Sajid Ali


No comments:

Post a Comment